Monday, 13 June 2011

samay ki mang

           Har 1 samaj me 2 tarah ke log rehte hain jisme 1 ameer aor 2sra gareeb. Aaj ke samay ko agar dekhen toh har taraf vikas hota jara hai par vikas ke anupat ka tarazu amir gharano ki taraf tezi se jhukta hi ja raha hai.
           Es aniyamit jhukav ka sabse bada karan hamare gareeb yani ke nimna warg me chupa hua hai. Es warg me aap bahot hi asani se dekh payenge ki agar koi insan apne desh, samaj, evam kud ke liye agar kuch behtar karna bhi chahe to woh nahi kar payega, Eska sabse bada karan hai hamare samaj ke wo log jo kisi bhi insan ki tarakki ko nahi pacha pate hai. In logo ko ye nahi dikhta hai ki us admi ke karyon se kis-kis ka bhala hoga wo to us admi ki tarakki se ghabra jate hain aur ek dusre ki tang khichne ki har sambav koshish karne me lag jate hain.
            Aj hame enhi logon ko samjahane ka prayas karna chahiye jo hamare evam hamare Desh ki tarakki me bahot bade badhak ban rahe hain.



No comments:

Post a Comment